aankhon se mani-e-suKHan-e-mir dekhte
hum bhi kabhi bahaar mein zanjir dekhte
karte nigah apne bhi daman ke dagh par
apna gunah dekhte taqsir dekhte
itna hamare tan ka lahu KHushk bhi na tha
hum zaKHm-e-dil ko ghuncha-e-taswir dekhte
teri gali mein KHak hue hum phir us ke baad
kya faeda tha KHak ki tasir dekhte
achchha hua jo TuT gaya aa ke hath mein
hum aaine mein baKHt ke tadbir dekhte
wo gham to tha aziz par us ki kahan talak
taKHrib dekhte kabhi tamir dekhte

Ghazal
Aankhon se mani-e-suKHan-e-mir dekhte
Shafaq Sopori