aankhon se dur subh ke tare chale gae
nind aa gai to gham ke nazare chale gae
dil tha kisi ki yaad mein masruf aur hum
shishe mein zindagi ko utare chale gae
allah re be-KHudi ki hum un ke hi ru-ba-ru
be-iKHtiyar unhi ko pukare chale gae
mushkil tha kuchh to aish ki bazi ka jitna
kuchh jitne ke KHauf se haare chale gae
nakaami-e-hayat ka karte bhi kya gila
do din guzarna the guzare chale gae
targhib-e-tark-e-shauq ke parde mein gham-gusar
har naqsh-e-arzu ko ubhaare chale gae
pahunchai kis ne dawat-e-mai ahl-e-zohd ko
shayad teri nazar ke ishaare chale gae
wo dil harif-e-jalwa-e-firdaus ban gaya
jis dil mein tere gham ke sharare chale gae
un ke baghair zist ba-har-haal zist thi
jaisi guzarni thi guzare chale gae
jalwe kahan jo zauq-e-tamasha nahin 'shakil'
nazren chali gain to nazare chale gae
Ghazal
Aankhon se dur subh ke tare chale gae
Shakeel Badayuni