aankhon par palkon ka bojh nahin hota
dard ka rishta apni aan nahin khota
basti ke hassas dilon ko chubhta hai
sannaTa jab sari raat nahin hota
man-nagri mein dhum-dhaDakka rahta hai
mera main jab mere sath nahin hota
ban jate hain lamhe bhi kitne sangin
waqt kabhi jab apna bojh nahin Dhota
rishte nate TuTe phuTe lage hain
jab bhi apna saya sath nahin hota
dil ko 'hanif' udhaar nahin milta jab tak
aankhon ka pathrila dard nahin rota
Ghazal
Aankhon par palkon ka bojh nahin hota
Hanif Tarin