aankhon ne haal kah diya honT na phir hila sake
dil mein hazar zaKHm the jo na unhen dikha sake
ghar mein jo ek charagh tha tum ne use bujha diya
koi kabhi charagh hum ghar mein na phir jala sake
shikwa nahin hai arz hai mumkin agar ho aap se
dije mujh ko gham zarur dil jo mera uTha sake
waqt qarib aa gaya haal ajib ho gaya
aise mein tera nam hum phir bhi na lab pe la sake
us ne bhula ke aap ko nazron se bhi gira diya
'nasir'-e-KHasta-haal phir kyun na use bhula sake
Ghazal
Aankhon ne haal kah diya honT na phir hila sake
Hakeem Nasir