aankhon mein zindagi ke tamashe uchhaal kar
ai ghurbat-e-nigah na itne sawal kar
rahne de aasman ko ek parda-e-KHayal
lekin zamin ko saya-e-jannat bahaal kar
koi talab nahin hai teri bargah se
hum be-KHayal aae hain itna KHayal kar
aaram-e-jaan hain hum ko yahi sarsarahaTen
pachhtane wale hum nahin sanpon ko pal kar
aa rakh de hath sina-e-atish-mizaj par
kab tak rakhenge teri amanat sambhaal kar
wo be-zaban gharib na kha jae koi tir
be-chain ho gaya hun kabutar uchhaal kar
'ejaz' ab ke surKH gulabon se kaam le
teshe ki aas chhoD de patthar ko lal kar

Ghazal
Aankhon mein zindagi ke tamashe uchhaal kar
Rasheed Ejaz