aankhon mein wo aaen to hansate hain mujhe KHwab 
har rose nae bagh dikhate hain mujhe KHwab 
ab pyar ke mausam ka hai aaghaz yaqinan 
naghmat nae KHub sunate hain mujhe KHwab 
ho nind pe chhaya hua jab fikr ka baadal 
ek sair nai samt karaate hain mujhe KHwab 
us zist ki talKHi se to achchhi hai meri nind 
titli kabhi phulon se milate hain mujhe KHwab 
ek dard ka ehsas jagane ke liye hi 
phulon ki tarah KHar ke aate hain mujhe KHwab 
milte hain dukhane ko mera dil hi kai log 
phir dard ke sahra mein sulate hain mujhe KHwab 
wo log 'sabila' ke jo bichhDe hain safar mein 
aksar unhin ki yaad dilate hain mujhe KHwab
        Ghazal
Aankhon mein wo aaen to hansate hain mujhe KHwab
Sabeela Inam Siddiqui

