اردو हिंदी
Aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya | Shaahi Shayari
aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya

Ghazal

Aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya

Fana bulandshahri

;

aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya
ai jalwa-e-mahbubi jab tera KHayal aaya

tha un ki tawajjoh mein har jazb-e-talab mera
har chand moaddab thi jab mera sawal aaya

is baat pe badli hai bas chashm-e-karam un ki
ushshaq ke honTon pe kyun harf-e-sawal aaya

ya un ke hasin abru aae hain tasawwur mein
ya mahfil-e-hasti mein raKHshanda hilal aaya

hum sajda jahan kar len kaba wahin ban jae
miT kar teri ulfat mein hum ko ye kamal aaya

ab hashr-ba-daman hai har mahfil-e-tanhai
tum aae to furqat ki azmat pe zawal aaya

phir rang-e-junun barsa phulon ki qabaon par
ye kaun gulistan mein aashufta nihaal aaya

paigham-e-'fana' laya taskin-e-dil-e-muztar
wo aa gae nazron mein jab waqt-e-visal aaya