aankhon mein jo basa tha wo kajal kahan gaya
tha zabt jis ke dam se wo baadal kahan gaya
hum jis ke sath shauq se nikle the sair ko
wo ham-safar kahan hai wo jangal kahan gaya
karta tha shahr mein jo mohabbat se guftugu
malum hai kisi ko wo pagal kahan gaya
maujen bhi us ke pas uThin nazm-o-zabt se
sahil ki jaan tha jo wo dibal kahan gaya
phaili hui thi jis ke taqaddus ki raushni
aankhen talash mein hain wo aanchal kahan gaya
'bano' jo gham mila mujhe qismat se ab wahi
le kar kisi ki yaad-e-musalsal kahan gaya

Ghazal
Aankhon mein jo basa tha wo kajal kahan gaya
Saima Naseem bano