aankhon mein hijr chehre pe gham ki shikan to hai
mujh mein saji hui magar ek anjuman to hai
sanson ko us ki yaad se nisbat hai aaj bhi
mujh mein kisi bhi taur sahi bankpan to hai
har subh chahchahati hai chiDiya munDer par
viran ghar mein aas ki koi kiran to hai
mumkin hai us ka wasl mayassar na ho mujhe
lekin is aarzu se mera ghar chaman to hai
har waqt mahw-e-raqs hai chehra KHayal mein
be-rabt zindagi hai magar dil magan to hai
har lamha us se rahta hun masruf-e-guftugu
kahne ko mere sath koi ham-suKHan to hai
mere liye ye baat hi kafi hai ai 'rawish'
kuchh bhi ho mujh mein ab bhi mera apna-pan to hai
Ghazal
Aankhon mein hijr chehre pe gham ki shikan to hai
Shamim Ravish