aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi
ab kuchh bhi dekhne ki zarurat nahin rahi
sachchaiyon ki rah bahut ho gai kaThin
is raste pe chalne ki himmat nahin rahi
dushman ho dost ho koi apna ki ghair ho
hum ko to ab kisi ki bhi hajat nahin rahi
duniya aziz-tar rahi ek arsa-e-daraaz
lekin ab is ki bhi to mohabbat nahin rahi
arsa hua kisi ne pukara nahin mujhe
shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi
kanTa sa ek dil mein khaTakta hai mustaqil
par dil ki baat kahne ki aadat nahin rahi
sarmaya-e-hayat hua chahta hai KHatm
jis par ghurur tha wahi daulat nahin rahi
'bushra' kabhi jo jao wahan arz-e-haal ko
kahna ki hum pe ab wo inayat nahin rahi
Ghazal
Aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi
Bushra Hashmi