aankhon ke kashkol shikasta ho jaenge sham ko
din bhar chehre jama kiye hain kho jaenge sham ko
sare peD safar mein honge aur gharon ke samne
jitne peD hain utne sae lahraenge sham ko
din ke shor mein shamil shayad koi tumhaari baat bhi ho
aawazon ke uljhe dhage suljhaenge sham ko
sham se pahle dard ki daulat maujen hain be-nam si
dariyaon se mil ke dariya bal khaenge sham ko
subh se aangan mein aandhi hai andhiyara hai dhul hai
shayad aag churane wale ghar aaenge sham ko

Ghazal
Aankhon ke kashkol shikasta ho jaenge sham ko
Rais Farogh