aankhon ke charagh warte hain
aa teri nazar utarte hain
chullu bhar KHun bhik mil jae
hum kasa-e-sar pasarte hain
rakhte nahin sada safha-e-dil
naKHun ke naqsh ubhaarte hain
har raat difa-e-shahr-e-jaan ko
haari hui fauj utarte hain
mehnat se basa diya hai sahra
ab ghar ki taraf sidhaarte hain
bante hain lakiren kali nili
kaghaz ki jabin singhaarte hain
rota hai koi kisi ke gham mein
sab apne hi dukh bichaarte hain
jaisi ki guzar rahi hai 'KHusraw'
kuchh is se alag guzarte hain
Ghazal
Aankhon ke charagh warte hain
Iqbal Khusro Qadri