aankhen mujhe talwon se wo malne nahin dete
arman mere dil ke nikalne nahin dete
KHatir se teri yaad ko Talne nahin dete
sach hai ki hamin dil ko sambhalne nahin dete
kis naz se kahte hain wo jhunjhla ke shab-e-wasl
tum to hamein karwaT bhi badalne nahin dete
parwanon ne fanus ko dekha to ye bole
kyun hum ko jalate ho ki jalne nahin dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko to pahlu se wo Talne nahin dete
dil wo hai ki fariyaad se labrez hai har waqt
hum wo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete
garmi-e-mohabbat mein wo hain aah se manea
pankha nafas-e-sard ka jhalne nahin dete
Ghazal
Aankhen mujhe talwon se wo malne nahin dete
Akbar Allahabadi