aankh un ko dekhti hai nazara kiye baghair
parde mein chhup gae hain wo parda kiye baghair
har-chand dard-e-ishq ka darman nahin magar
banti nahin hai fikr-e-mudawa kiye baghair
zahid se puchhiye gham-e-duniya ki azmaten
uqba na mil saki gham-e-duniya kiye baghair
jate hain dil mein chhoD ke wo jalwa-e-KHayal
bujhti hai shama ghar mein andhera kiye baghair
aksar to dil giraftagi-e-shauq ki qasam
mujh tak wo aa gae hain irada kiye baghair
hum ko bhi dekhna hai ki ye munkarin-e-ishq
kab tak rahenge teri tamanna kiye baghair
sher-o-adab ki rah mein hai gamzan 'shakil'
apne muKHalifin ki parwa kiye baghair
Ghazal
Aankh un ko dekhti hai nazara kiye baghair
Shakeel Badayuni