aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
ek chhalakte saghar mein mai bhi hai mai-KHana bhi
be-KHudi-e-dil ka kya kahna sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin
hasti se manus bhi hun hasti se begana bhi
husn ne tere duniya mein kaisi aag laga di hai
barq bhi shoala barpa hai raqs mein hai parwana bhi
wusat-e-wahshat tang hui bigDa ghar diwanon ka
najd ke ek saudai ne luT liya virana bhi
aaj mohabbat ruswa hai hathon se hoshyaron ke
ishq ki pahli duniya mein tha koi diwana bhi
dil ki duniya hilti hai roko apni nazron ko
kafir luTe leti hain aaj tajalli-KHana bhi
gardish mast nigahon ki aaKHir wajd-angez hui
chakkar mein 'saghar' bhi hai daur mein hai paimana bhi
Ghazal
Aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
Saghar Nizami