اردو हिंदी
Aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha | Shaahi Shayari
aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha

Ghazal

Aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha

Abdussamad ’Tapish’

;

aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha
is tarah wo TuT kar shayad kabhi roya na tha

un ke shauq-e-did mein tha is qadar khoya hua
main bhari mahfil mein tha aisa ki main goya na tha

imtihan zauq-e-safar ka tha to suraj sar pe tha
dhup thi diwar thi lekin kahin saya na tha

wo baDa tha phir bhi wo is qadar be-faiz tha
us ghanere peD mein jaise koi saya na tha

shahrah par KHun mein ek lash thi luthDi hui
aae din ka hadsa tha is liye charcha na tha

har nigah pyasi thi lekin waqt ki tahwil mein
ek sarab-asa zamin thi dur tak dariya na tha