aankh se gham nihan nahin hote
phir bhi aansu rawan nahin hote
umr bhar ka hai tera mera sath
is qadar bad-guman nahin hote
ham-kalam un se hain tasawwur mein
asl mein ye saman nahin hote
yun to kahne ko hum nahin maujud
par ye socho kahan nahin hote
pyar hota hai ya nahin hota
is mein wahm-o-guman nahin hote

Ghazal
Aankh se gham nihan nahin hote
Naheed Virk