aankh se dil mein aane wala
dil se nahin ab jaane wala
ghar ko phunk ke jaane wala
phir ke nahin hai aane wala
dost to hai nadan hai lekin
be-samjhe samjhane wala
aansu ponchh ke hans deta hai
aag mein aag lagane wala
hai jo koi to dhyan usi ka
aane wala jaane wala
husn ki basti mein hai yaro
koi taras bhi khane wala
Dal raha hai kaam mein mushkil
mushkil mein kaam aane wala
di thi tasalli ye kis dil se
chup na hua chillane wala
KHwab ke parde mein aata hai
sota pa ke jagane wala
ek din parda KHud ulTega
chhup-chhup ke tarsane wala
'arzu' in ke aage hai chup kyun
tum sa baaten banane wala
Ghazal
Aankh se dil mein aane wala
Arzoo Lakhnavi