aankh se bichhDe kajal ko tahrir banane wale
mushkil mein paD jaenge taswir banane wale
ye diwana-pan to rahega dasht ke sath safar mein
sae mein so jaenge zanjir banane wale
us ne to dekhe an-dekhe KHwab sabhi lauTae
aur the shayad TuTi hui tabir banane wale
sone ki diwar se aage mere kaam na aae
sachche jazbe miTTi ko iksir banane wale
juzw-e-sher nahin hain 'qasir' juzw-e-jaan kar Dale
hum ko jitne dard mile the 'mir' banane wale
Ghazal
Aankh se bichhDe kajal ko tahrir banane wale
Ghulam Mohammad Qasir