aankh sahmi hui Darti hui dekhi gai hai
amn ki faKHta marti hui dekhi gai hai
kya bacha kitna bacha tab kise hai dekhe
mauj-e-KHun sar se guzarti hui dekhi gai hai
aise lagta hai yahan se nahin jaane wali
jo siyah-raat Thaharti hui dekhi gai hai
dusri bar hua hai ki yahi dost hua
par parindon ke katarti hui dekhi gai hai
ek ujDi hui hasrat hai ki pagal ho kar
bain har shahr mein karti hui dekhi gai hai
maut chamki kisi shamshir-e-barhana ki tarah
raushni dil mein utarti hui dekhi gai hai
phir kinare pe wahi shor wahi log 'raza'
phir koi lash ubharti hui dekhi gai hai
Ghazal
Aankh sahmi hui Darti hui dekhi gai hai
Rafi Raza