aankh patthar ki tarah aks se KHali hogi
KHun-e-nahaq ki magar jism pe lali hogi
mil ke baiThenge wahi log adhure aadhe
phir wahi mez wahi sard piyali hogi
aise mausam mein wo chup-chap nazar jo aaya
us ne aaankhon mein koi shakl basa li hogi
main ne jo chiz ganwa di use hira kah ke
kisi nadar musafir ne uTha li hogi
us ko lafzon mein utarun to waraq hun raushan
us ki taswir bana lun to misali hogi
mil bhi jae meri KHwahish ka sila jo mujh ko
ruh apni wahi majbur sawali hogi
yar 'fikri' ye chamakte hue jugnu rakh le
raat jangal ki abhi aur bhi kali hogi
Ghazal
Aankh patthar ki tarah aks se Khaali hogi
Parkash Fikri