aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe
ye mayassar ho to phir kyun koi nashad rahe
is zamane mein KHamoshi se nikalta nahin kaam
nala pur-shor ho aur zoron pe fariyaad rahe
dard ka kuchh to ho ehsas dil-e-insan mein
saKHt nashad hai daim jo yahan shad rahe
ai tere dam-e-mohabbat ke dil o jaan sadqe
shukr hai qaid-e-alaiq se hum aazad rahe
nala aisa ho ki ho us pe guman-e-naghma
rahe is tarah agar shikwa-e-bedad rahe
har taraf dam bichhae hain hawas ne kya kya
kya ye mumkin hai yahan koi dil aazad rahe
jab ye aalam ho ki manDlati ho har samt ko barq
kyun koi nauhagar-e-KHirman-e-barbaad rahe
ab tasawwur mein kahan shakl-e-tamanna 'wahshat'
jis ko muddat se na dekha ho wo kya yaad rahe
Ghazal
Aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi