aankh mein dahshat na thi hath mein KHanjar na tha
samne dushman tha par dil mein koi Dar na tha
us se bhi mil kar hamein marne ki hasrat rahi
us ne bhi jaane diya wo bhi sitamgar na tha
ek pahaDi pe main baiTha raha der tak
shauq se dekha karun aisa bhi manzar na tha
hum se jo aage gae kitne mehrban the
dur talak rah mein ek bhi patthar na tha
raat bahut der se aankh lagti thi zara
nind mein kamra na tha KHwab mein bistar na tha
sher to hum ne bahut Thik kiya tha magar
ab bhi ghalat tha kahin ab bhi barabar na tha
socha tha is bar to ja ke 'zafar' se milen
kya karen 'alwi' magar aisa muqaddar na tha
Ghazal
Aankh mein dahshat na thi hath mein KHanjar na tha
Mohammad Alvi