aankh mein ashk liye KHak liye daman mein
ek diwana nazar aata hai kab se ban mein
mere ghar ke bhi dar-o-baam kabhi jagenge
dhup niklegi kabhi to mere bhi aangan mein
kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaran tujh ko
kitne phulon ki mahak hai tere pairahan mein
shab-e-tarik mera rasta kya rokegi
mere aanchal mein sitare hain sahar daman mein
kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh
raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein
ahd-e-rafta ki tamanna ka fusun zinda hai
dil-e-nakaam abhi tak teri har dhaDkan mein
hamein manzur nahin agli rawayat-e-junun
ba-KHirad ho gai 'gulnar' diwana-pan mein
Ghazal
Aankh mein ashk liye KHak liye daman mein
Gulnar Aafreen