aankh kuchh be-sabab hi nam to nahin
ye kahin aap ka karam to nahin
hum ne mana ki raushni kam hai
phir bhi ye subh sham-e-gham to nahin
ishq mein bandishen hazar sahi
bandish-e-dana-o-diram to nahin
tha kahan ishq ko saliqa-e-gham
wo nazar mail-e-karam to nahin
monis-e-shab rafiq-e-tanhai
dard-e-dil bhi kisi se kam to nahin
wo kahan aur kahan sitamgari
kuchh bhi kahte hon log hum to nahin
shikwe ki baat aur hai warna
lutf-e-paiham koi sitam to nahin
dekh ai qissa-go-e-ranj-e-firaq
nok-e-mizhgan-e-yar nam to nahin
un ke dil se sawal karta hai
ye tabassum sharik-e-gham to nahin
Ghazal
Aankh kuchh be-sabab hi nam to nahin
Ali Jawwad Zaidi