aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui
aansuon mein bhig jaane ki hawas puri hui
aa rahi hai jism ki diwar girne ki sada
ek ajab KHwahish thi jo ab ke baras puri hui
is KHizan-asar lamhe ki hikayat hai yahi
ek gul-e-na-afrida ki hawas puri hui
aag ke shoalon se sara shahr raushan ho gaya
ho mubarak aarzu-e-KHar-o-KHas puri hui
kaisi dastak thi ki darwaze muqaffal ho gae
aur is ke sath rudad-e-qafas puri hui
Ghazal
Aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui
Shahryar