aankh jo nam ho wahi dida-e-tar mera hai
mauj-e-gham uTThe kahin us ka guhar mera hai
dekh lun main to sitare hain na dekhun to dhuan
kya rasa itna kaf-e-dast-e-nazar mera hai
samar o gul hain gulistan-faroshon ke liye
aabyari ke liye KHun-e-jigar mera hai
qasr ho ya ki lahad donon kiyraye ke makan
roz kahta hai koi aa ke ye ghar mera hai
dasht ki uDti hui ret pe likh dete hain log
ye zamin meri ye diwar ye dar mera hai
is shar-abaad KHarabe mein kahan husn-o-jamal
husn jitna bhi hai sab husn-e-nazar mera hai
maut hai jurat-e-izhaar ki pazmurda-labi
saz-e-taKHliq lab-e-arz-e-hunar mera hai
wo KHuda ho to ho main DhunDne kyun jaun use
KHud hi apna le mujhe baDh ke wo gar mera hai
kaT ke sar paDhte hain nezon pe bhi quran 'wahid'
juzw-e-tan rah ke bhi chup kis liye sar mera hai
Ghazal
Aankh jo nam ho wahi dida-e-tar mera hai
Waheed Akhtar