aankh hai aaina hai mashal hai
koi taswir to mukammal hai
is jagah shahr hona chahiye tha
samne dekhiye to jangal hai
main bhi eDi pe ghum jaunga
aur ye be-kali bhi do-pal hai
bas mujhe darmiyan mein rakhna
aankh ojhal pahaD ojhal hai
ye to manzar pe munhasir hoga
muddaa dasht hai ki baadal hai

Ghazal
Aankh hai aaina hai mashal hai
Rahil Bukhari