aankh dariya jigar lahu karna
kitna mushkil hai aarzu karna
tajziya dil-nashin KHayalon ka
hai ghazalon ki justuju karna
tazkira in ki dil-nawazi ka
aur phir mere ru-ba-ru karna
bas yahi ek shaghl-e-tanhai
rah gaya KHud se guftugu karna
kushtagan-e-alam se sikha hai
dard-mandon ki aabru karna
doston ke karam se chhoD diya
hum ne andesha-e-adu karna
bachna har nok-e-KHar se 'aKHtar'
zaKHm phulon ke bhi rafu karna
Ghazal
Aankh dariya jigar lahu karna
Akhtar Ziai