aangan se hi KHushi ke wo lamhe palaT gae
sahra-e-dil se barse baghair abr chhaT gae
rishton ka ek hujum tha kahne ko aas-pas
jab waqt aa paDa to talluq simaT gae
ek samt tum khaDe the zamana tha ek samt
hum tum se mil gae to zamane se kaT gae
rasm-o-rah-e-jahan ka to tha daera wasia
apni hadon mein aap hi hum log baT gae
hamdardiyon ki bhiD sahar se thi sath sath
jab dhup sar pe aai to sae simaT gae
bedariyon ke sath tha hangama-e-hayat
nind aa gai to sare masail nipaT gae
is inqalab-e-daur-e-taraqqi ke aafrin
majma baDa hua hai to insan ghaT gae
Ghazal
Aangan se hi KHushi ke wo lamhe palaT gae
Seemab Sultanpuri