اردو हिंदी
Aangan aangan KHana-KHarabi hansti hai meamaron par | Shaahi Shayari
aangan aangan KHana-KHarabi hansti hai meamaron par

Ghazal

Aangan aangan KHana-KHarabi hansti hai meamaron par

Ezaz Afzal

;

aangan aangan KHana-KHarabi hansti hai meamaron par
patthar ki chhat Dhaal rahe hain shishe ki diwaron par

zaKHm lage to bas ye jaano choT paDi naqqaron par
aaj laga do jaan ki bazi TuT paDo talwaron par

ahl-e-junun ki lala-kari mausam ki paband nahin
fasl-e-KHizan mein phul khule hain zindan ki diwaron par

dil ke ufuq se TuT gae hain kitne suraj kitne chand
Tapke hain do-chaar sitare jab tere ruKHsaron par

kahte hain KHush-qamat kis ko dekh nikal kar gulshan se
kaise kaise sarw-e-rana chalte hain angaron par

is sahil par naw paDi hai us sahil par manjhi hai
beach nadi mein tairti lasho pul ban jao dhaaron par