اردو हिंदी
Aane wale hadson ke KHauf se sahme hue | Shaahi Shayari
aane wale hadson ke KHauf se sahme hue

Ghazal

Aane wale hadson ke KHauf se sahme hue

Azad Gulati

;

aane wale hadson ke KHauf se sahme hue
log phirte hain ki jaise KHwab hon TuTe hue

subh dekha to na tha kuchh pas uljhan ke siwa
raat hum baiThe rahe kis soch mein Dube hue

apne dukh mein Dub kar wusat mili kaisi hamin
hain zamin se aasman tak hum hi hum phaile hue

aaj aaine mein KHud ko dekh kar yaad aa gaya
ek muddat ho gai jis shaKHs ko dekhe hue

jism ki diwar gir jae to kuchh ehsas ho
apne andar hum paDe hain kis qadar simTe hue

kis se puchhen raat-bhar apne bhaTakne ka sabab
sab yahan milte hain jaise nind mein jage hue

is nagar ke jagmagate raston par ghum kar
hum chale aae ghamon ki dhul mein lipTe hue

jin ko ai 'azad' baKHshi thi mahak hum ne kabhi
ab wahi raste hamare waste kanTe hue