aandhiyan chalti rahen aflak tharraate rahe
apna parcham hum bhi tufanon mein lahraate rahe
kaT kar raaton ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan
ju-e-shir-o-chashma-e-nur-e-sahar late rahe
karwan-e-himmat-e-jamhur baDhta hi gaya
shahr-yar-o-hukmaran aate rahe jate rahe
rahbaron ki bhul thi ya rahbari ka muddaa
qafilon ko manzilon ke pas bhaTkate rahe
jis qadar baDhta gaya zalim hawaon ka KHarosh
us ke kakul aur bhi aariz pe lahraate rahe
phansiyan ugti rahin zindan ubharte hi rahe
chand diwane junun ke zamzame gate rahe
Ghazal
Aandhiyan chalti rahen aflak tharraate rahe
Ali Sardar Jafri