aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
KHauf ke mare juda shaKH se patta na hua
ruh ne pairahan-e-jism badal bhi Dala
ye alag baat kisi bazm mein charcha na hua
raat ko din se milane ki hawas thi hum ko
kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua
waqt ki Dor ko thame rahe mazbuti se
aur jab chhuTi to afsos bhi is ka na hua
KHub duniya hai ki suraj se raqabat thi jinhen
un ko hasil kisi diwar ka saya na hua
Ghazal
Aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
Shahryar