aana usi ka bazm se jaana usi ka hai 
kis ko pata nahin ki zamana usi ka hai 
ai matla-e-malal hamare liye bhi kuchh 
taron bhari ye raat KHazana usi ka hai 
is ghar mein koi chiz kisi aur ki nahin 
ye phul ye charagh fasana usi ka hai 
ek ahd kar liya tha kabhi bhul-chuk mein 
sanson ka ye wabaal bahana usi ka hai 
ab is gali ke moD se aage na jaenge 
kahte hain aas-pas Thikana usi ka hai
        Ghazal
Aana usi ka bazm se jaana usi ka hai
Shamim Hanafi

