aana tha jise aaj wo aaya to nahin hai
ye waqt badalne ka ishaara to nahin hai
dawat de kabhi kyun wo mohabbat se bulae
dariya se meri pyas ka rishta to nahin hai
ye kaun gaya hai ki jhapakti nahin aankhen
raste mein wo Thahra hua lamha to nahin hai
hansta hua chehra hai damakta hua paikar
guzra hua ye mera zamana to nahin hai
aankhon ne abhi nind ka daman nahin chhoDa
KHwabon se bharosa abhi TuTa to nahin hai
dariya mein sar-e-sham hai Duba hua suraj
din-bhar ka musafir koi pyasa to nahin hai
chhoD aae ho jis ke liye aanchal ki ghani chhanw
is shahr mein wo dhup ka TukDa to nahin hai
raste mein 'fahim' us ki tabiat ka bigaDna
ghar jaane ka ek aur bahana to nahin hai
Ghazal
Aana tha jise aaj wo aaya to nahin hai
Faheem Jogapuri