aana hai to aa jao yak aan mera sahab
ek aan ke hain hum bhi mehman mera sahab
muddat se tumhaara main sau jaan se hun aashiq
kyun jaan ke hote ho anjaan mera sahab
ghusse ho uThe mujh par kyun tir-o-kaman le kar
main hone ko baiTha hun qurban mera sahab
nagah sanam yaro mujh se jo mila aa kar
mujh par ye KHuda ka hai ehsan mera sahab
ye banda ho ya tum ho wan ghair na ho koi
is Dhab ke hai milne ka arman mera sahab
kuchh yaad nahin mujhe ko kafir hun musalman hun
hai gham mein tere yan tak nisyan mera sahab
jo ishq ki manzil ke hain ahl-e-kamal un ka
hai shukr-o-shikayat mein nuqsan mera sahab
saf aaina-e-dil mein raushan hai jamal us ka
bar-aks hai ek aalam hairan mera sahab
sau tarah kahun dil ka ahwal huzur us ke
mere to nahin rahne ausan mera sahab
hum ishq ki daulat se ek kunj-e-qanaat mein
karte hain faqirana guzran mera sahab
yan had se qadam bahar rakhne koi paya hai
is jurm mein sar len hain tawan mera sahab
munsif ho 'muhib' dil mein is baat ko Tuk soche
jab be-sar-o-saman ho insan mera sahab
kya sath le aaya tha le jaega kya yan se
phir chahiye kis KHatir saman mera sahab
mani mein wo kaTen hain auqat bahut be-gham
jo shaKHs ba-surat hain uryan mera sahab
shamshir-e-barhana ke jauhar nazar aate hain
insaf ki aankhon ke darmyan mera sahab
Ghazal
Aana hai to aa jao yak aan mera sahab
Waliullah Muhib