اردو हिंदी
Aamad-e-fasl-e-bahaaran nahin jine deti | Shaahi Shayari
aamad-e-fasl-e-bahaaran nahin jine deti

Ghazal

Aamad-e-fasl-e-bahaaran nahin jine deti

Muzaffar Ahmad Muzaffar

;

aamad-e-fasl-e-bahaaran nahin jine deti
wusat-e-chaak-e-gareban nahin jine deti

hasrat-e-dida-e-namnak rulati hai mujhe
yaadash-e-umr-e-gurezan nahin jine deti

qaid-e-gesu se rihai ka nahin hai imkan
KHushbu-e-zulf-e-pareshan nahin jine deti

kunj-e-tanhai mein yun shikwa-ba-lab baiTha hun
tangi-e-gor-e-ghareban nahin jine deti

jaan-lewa hai 'muzaffar' ye taghaful un ka
tirgi-e-shab-e-hijran nahin jine deti