'alam' jiwan khel-tamasha danai nadani hai
tab tak zinda rahte hain hum jab tak ek hairani hai
aag hawa aur miTTi pani mil kar kaise rahte hain
dekh ke KHud ko hairan hun main jaise KHwab kahani hai
aawazon ka jangal bhi hai sannaTon ka sahra bhi
ek taraf aabaadi mujh mein ek taraf virani hai
is manzar ko aaKHir kyun main pahron takta rahta hun
upar sakit chaTTanen hain tah mein bahta pani hai
mere bachcho is KHitte mein pyar ki ganga bahti thi
dekho is taswir ko dekho ye taswir purani hai
'alam' mujh ko bimari hai nind mein chalte rahne ki
raaton mein bhi kab rukta hai mujh mein jo sailani hai
Ghazal
Aalam jiwan khel-tamasha danai nadani hai
Alam Khursheed