aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha
jo dip tha nigah ki parchhaiyon mein tha
wo be-panah KHauf jo tanhaiyon mein tha
dil ki tamam anjuman-araiyon mein tha
ek lamha-e-fusun ne jalaya tha jo diya
phir umr bhar KHayal ki ranaiyon mein tha
ek KHwab-gun si dhup thi zaKHmon ki aanch mein
ek saeban sa dard ki purwaiyon mein tha
dil ko bhi ek jarahat-e-dil ne ata kiya
ye hausla ki apne tamashaiyon mein tha
kaTta kahan tawil tha raaton ka silsila
suraj meri nigah ki sachchaiyon mein tha
apni gali mein kyun na kisi ko wo mil saka
jo e'timad baadiya-paimaiyon mein tha
is ahd-e-KHud-sipas ka puchho ho majra
masruf aap apni paziraiyon mein tha
us ke huzur shukr bhi aasan nahin 'ada'
wo jo qarib-e-jaan meri tanhaiyon mein tha
Ghazal
Aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha
Ada Jafri