aalam-e-kaun-o-makan nam hai virane ka
pas wahshat nahin ghar dur hai diwane ka
zahr waiz ke liye nam hai paimane ka
ye bhi kya mard-e-KHuda chor hai mai-KHane ka
kabhi fursat ho musibat se to uTh kar dekhun
kaun se goshe mein aaram hai kashane ka
be-KHud-e-shauq hun aata hai KHuda yaad mujhe
rasta bhul ke baiTha hun sanam-KHane ka
dil ki jaulan-gah-e-wahshat hai abad se mausum
nam azal hai mere bhule hue afsane ka
dil jo apna bhi hai 'natiq' to ye apna nahin kuchh
hai jo apna bhi to hoga kisi begane ka
Ghazal
Aalam-e-kaun-o-makan nam hai virane ka
Natiq Gulavthi