aalam-e-ab-o-KHak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main
wo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki main
wo shab-e-dard-o-soz-o-gham kahte hain zindagi jise
us ki sahar hai tu ki main us ki azan hai tu ki main
kis ki numud ke liye sham o sahar hain garm-e-sair
shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki main
tu kaf-e-KHak o be-basar main kaf-e-KHak o KHud-nigar
kisht-e-wajud ke liye aab-e-rawan hai tu ki main
Ghazal
Aalam-e-ab-o-KHak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main
Allama Iqbal