aalam-e-rozgar ka munh zard ho gaya
har zaKHm ka ilaj tera dard ho gaya
chehre ki hai talash har ek fard ko jahan
us anjuman se jo bhi uTha fard ho gaya
khilte hain dil mein phul teri yaad ke tufail
aatish-kada to der hui sard ho gaya
gumrahiyon ne dhul uDa di mazaq mein
har naqsh-e-pa-e-rah-numa gard ho gaya
is ahd-e-nau ko lahja-e-mardana chahiye
jis ne bhi mere sher paDhe mard ho gaya
Ghazal
Aalam-e-rozgar ka munh zard ho gaya
Muzaffar Hanfi