aaKHiri waqt hai aaKHiri sans hai zindagi ki hai sham aaKHiri aaKHiri
sang-dil aa bhi ja ab KHuda ke liye lab pe hai tera nam aaKHiri aaKHiri
kuchh to aasan hoga adam ka safar un se kahna tumhein DhunDhti hai nazar
nama-bar tu KHudara na ab der kar de de un ko payam aaKHiri aaKHiri
tauba karta hun kal se piyunga nahin mai-kashi ke sahaare jiyunga nahin
meri tauba se pahle magar saqiya sirf de ek jam aaKHiri aaKHiri
mujh ko yaron ne nahla ke kafna diya do ghaDi bhi na biti ki dafna diya
kaun karta hai gham TuTte hi ye dam kar diya intizam aaKHiri aaKHiri
jite-ji qadr meri kisi ne na ki zindagi bhi meri bewafa ho gai
duniya walo mubarak ye duniya tumhein kar chale hum salam aaKHiri aaKHiri
Ghazal
AaKHiri waqt hai aaKHiri sans hai zindagi ki hai sham aaKHiri aaKHiri
Shakeel Badayuni