aaKHiri Tis aazmane ko
ji to chaha tha muskurane ko
yaad itni bhi saKHt-jaan to nahin
ek gharaunda raha hai Dhane ko
sang-rezo mein Dhal gae aansu
log hanste rahe dikhane ko
zaKHm-e-naghma bhi lau to deta hai
ek diya rah gaya jalane ko
jalne wale to jal bujhe aaKHir
kaun deta KHabar zamane ko
kitne majbur ho gae honge
an-kahi baat munh pe lane ko
khul ke hansna to sab ko aata hai
log tarse hain ek bahane ko
reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko
hasraton ki panah-gahon mein
kya Thikane hain sar chhupane ko
hath kanTon se kar liye zaKHmi
phul baalon mein ek sajaane ko
aas ki baat ho ki sans 'ada'
ye khilaune the TuT jaane ko
Ghazal
AaKHiri Tis aazmane ko
Ada Jafri