اردو हिंदी
AaKHiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga | Shaahi Shayari
aaKHiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga

Ghazal

AaKHiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga

Mohammad Siddiq Saib Tonki

;

aaKHiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga
pyas ko nind jab aai to samundar jaga

raat bhi din ki tarah meri pareshan guzri
main na jaga to mere KHwab ka paikar jaga

ek aahaT si achanak hui dil ko mahsus
kisi derina tamanna ka muqaddar jaga

subh hote hi KHuda jaane chala jae kidhar
raat-bhar shaKH pe is gham mein gul-e-tar jaga

thartharane lage kyun shish-mahal aap se aap
kya kisi TuTe makan ka koi patthar jaga

lauT aae wahi aawara-o-gum-gashta KHayal
aankh khulte hi nazaron ka samundar jaga

chhoD aaya tha jo main pichhle janam mein 'saib'
zehn mein aaj un armanon ka lashkar jaga