aaKHiri bar aah kar li hai
main ne KHud se nibah kar li hai
apne sar ek bala to leni thi
main ne wo zulf apne sar li hai
din bhala kis tarah guzaroge
wasl ki shab bhi ab guzar li hai
jaan-nisaron pe war kya karna
main ne bas hath mein sipar li hai
jo bhi mango udhaar dunga main
us gali mein dukan kar li hai
mera kashkol kab se KHali tha
main ne is mein sharab bhar li hai
aur to kuchh nahin kiya main ne
apni haalat tabah kar li hai
shaiKH aaya tha mohtasib ko liye
main ne bhi un ki wo KHabar li hai
Ghazal
AaKHiri bar aah kar li hai
Jaun Eliya