aaKHir dil ki purani lagan kar ke hi rahegi faqir hamein
har rut aate jate pae ek hi shai ka asir hamein
dhum machae bahaar kabhi aur pat hare kabhi pile hon
har nairangi-e-qudrat dekhe yaksan hi dil-gir hamein
kya kya pukaren sisakti dekhin lafzon ke zindanon mein
chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein
jin ki halki gahri talKHi KHun mein rach rach jati hai
juzw-e-hayat banane paDe hain wo ashaar-e-'mir' hamein
Ghazal
AaKHir dil ki purani lagan kar ke hi rahegi faqir hamein
Mukhtar Siddiqui