aaKHir aaKHir ek gham hi aashna rah jaega
aur wo gham bhi mujh ko ek din dekhta rah jaega
sochta hun ashk-e-hasrat hi karun nazr-e-bahaar
phir KHayal aata hai mere pas kya rah jaega
ab hawaen hi karengi raushni ka faisla
jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega
aaj agar ghar mein yahi rang-e-shab-e-ishrat raha
log so jaenge darwaza khula rah jaega
ta-had-e-manzil tawazun chahiye raftar mein
jo musafir tez-tar aage baDha rah jaega
ghar kabhi ujDa nahin ye ghar ka shajara hai gawah
hum gae to aa ke koi dusra rah jaega
raushni 'mahshar' rahegi raushni apni jagah
main guzar jaunga mera naqsh-e-pa rah jaega
Ghazal
AaKHir aaKHir ek gham hi aashna rah jaega
Mahshar Badayuni