aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-id hai
rag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai
dil diwana ho gaya hai dekh ye subh-e-bahaar
rasmasa phulon basa aaya ankhon mein nind hai
sher aashiq aaj ke din kyun raqiban pe na hon
yar paya hai baghal mein KHana-e-KHurshid hai
gham ke pichho rast kahte hain ki shadi howe hai
hazrat-e-ramazan gae tashrif le ab id hai
id ke din rowta hai hijr sin ramzan ke
be-nasib us shaiKH ki dekho ajab fahmid hai
silk us ki nazm ka kyunkar na howe qimti
'abru' ka sher jo dekha so marwarid hai
Ghazal
Aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-id hai
Abroo Shah Mubarak